Just wrote this. Thought to share it on the blog as I always do :)
apne jab jaltey hain, aankhon ke saamne,
chita pe letey, aag ke lapeton mein,
pighalte, dheere dheere mitti mein miltey hain,
chotey-chotey bachchon ko,
wahaan se duur le jaaya jaata hai,
taaki woh jaan na sake,
aur apno ko mitti mein miltey,
dekh na sake...
nanhe munne bacchey wo log,
unhe kya pata yeh sab?
unki zindagi, ghar ki chaukhat,
sakhi-saheli, chhotey-chhotey dost,
bageeche mein phool ki pankhudi todkar,
eent ko ghis ghis kar usme paani mila kar,
titliyon ko pakadne ki chakkar mein,
subah-shaam socha kartey hain...
school hain unki khel ki maidan,
jaatey hain wahaan apno ke haath pakadkar
wahaan padhtey hain, kheltey hain,
naachtey hain, gaatey hain,
kabhi kabhi choti moti ladaai karke,
kabhi kabhi daudtey hue gir jaatey hain,
aur ghutna chhil jaati hai,
rotey rotey ghar waapas aa jaatey hai,
wahi apno ke haath pakadkar.
ghar aakar, dettol lagaakar,
khaana khaake chup-chap so jaatey hain,
phir dusre din, apno ke haath pakadkar,
hanstey-kudtey school chaley jaatey hain.
phir kabhi apno ke saath scooter mein baithkar,
bazaar ghoomne chaley jaatey hain,
khoob saari mithaiyaan khaakar,
chupchap ghar chaley aatey hain,
yehi jindagi hai, unn nanhe munno ki,
issime khush, isime mast rehtey hain...
woh kya samjhe jab wahi apne chita mein lete,
pighal kar mitti mein miltey hain,
woh kya samjhe ki wahi apne bahut duur chaley gaye hain,
unhe kya pata ki unki zindagi badal gayi hai,
shayad kal unhe akele school jana padey,
shayad parso unhe akele ghaao mein dettol lagaani padey.